Musing mind...craving thoughts on anything and everything...with a distinctive taste
Monday, December 24, 2012
Khamakhan ki zindagi..Matlab ki duniya
Kabhi tanhan sochti hu to yeh paati hu ki kitni bewajah hain zindagi...
khushiyon ke hote hue bhi phiki..
Na koi tammana na koi ggaruzarish bas ek saadi zindagi..
kahi kho diya apne aap ko iss beech..
chalo khud ko dhudne ka ek zariya hi bana le zindagi..
Chahat se bhare is jahan mein matlab se bhare log
kaash koi apni chaap bhi chod paata zindagi..
soche agar jeene ka matlab hi matlab ho ..
to kaisi hogi yeh zindagi...
kuch vaade..iraade...bharose..is kadar kuchal jaate hain
ki raas hi nahi aati yeh zindagi
Agar yeh matlab shabd hi nahi hota is duniya
to kya khoob hoti zindagi..
Log na badlte..na faasle badte..na nafrat hoti..
to shayad behtareen hoti zindagi..
Subscribe to:
Posts (Atom)