Jitna pakdti hu us reth ko hateli per
Utna hi daaman chudati hain yeh..
siskiyon mein simti hain zindagi is kadar
ki ashk bi lagte paani se yeh..
Samajh nahin aata ki samjhau unhe kis tarah
ki ab hum ho gaye juda juda juda se..
Ae kash aisa hota ki hum jo cahhe waisa hota
ki ab to mangte hain khuda se dua yeh..
Kisi raah mein mil jaaye aise
ki nadi aur samundar bhi le humse misal yeh..
Kehte hain samjahdaar yuh to sabhi hume
per phir bhi apne per aitbar ki kami ka ehsaas sa hota hain
Yun hi basar ho gai zindagi agar
to ek bhoj hamesha rahega mann per
ho sakta hain guzar jaati apni chahat ki buniyad per yeh..
Chod di hain zindagi takdeer ke bharose
dekhte hain le jaati hain hume kahan yeh..
No comments:
Post a Comment