Sunday, June 30, 2013

Ignore the pagalpan

Kyun meh kitna bhi kar lu kum padta hai...iss zindagi meh kuch achcha nahi lagta hai...har uss shaq, jisko apna manaa woh hi daga karta hai..iss kadar doob jaate hain pyaar dete hue...ki ubhar pana mushkil hota hai..mein hamesha tayaar aur woh kabhi fursat hi nahi hota hai....kyun dil kisi ko itna apna manta hai ki agla apne hisaab se meri zindagi mod jata hai....khadi hu tanha hamesha ki tarah...soch rahi hu zindagi ke hisaab meh kaha galti reh gayi....kya koi aisa insaan ya aisa samay aayega jab mujhe bhi woh samman haasil hoga..inn barisho ko keh diya hai meine ki na barse ki yeh to saal me ek baar aati hai...per humare dil ka saawan to kabhi khatam hi nahi hota hai...kabhi to koi aaye aur thaame haath aur kahe ki meh hu ab sab theek hoga..har us aas ko liye jeete hai har din....har raat kat ti hai us intezaar meh...kis se marzi lu...kis ko arzi du...sab kuch dhundla nazar aata hai...shaayad aisa koi din ho hi na...ya meri ichchaye hi kuch zyaada hai...dil meh aaye har ek tufaan apna hi ek sawaal chod jata hai..samjh nahi aata ki us se kaise ladu....mann kahi lagta hi nahi hai...kaash sab ruk jaye....tham jaye ...aawaz dheeme ho jayee...aur sab ek jhoke meh khatam ho jaye...pehle to sangeet se dil behlta tha...aajkal to uski bhi mujhe parwah nahi...kya karu kya nahi bas akelapan jhakjhod deta hai!!! Itna kuch hai mann meh...per koi puchta hi nahi ki mann meh kya hai....kabhi na socha tha ki aisa bhi din aayega ki insaan ki bajay iss kaagaz ko dil ka haal jataya jayega.....

No comments:

Post a Comment