Saturday, March 23, 2013

Kyun??????

Sochti hu ki kyun iss duniya mein kuch paane ke liye kuch khona pata hain....
Kyun kabhi kabhi koi ajnabi apno se bhi zyaada apna lagta hain...
Kyun har manzil ko paane ke liye kuch aur kadam chalna padta hain...
Kyun jazbaato ka mol nahi hota hain...
Kyun chup rehkar bhi bahut kuh bola jaa sakta hain....
Kyun har insaaan hume bahari taur tareeko per parakhta hain...
Kyun aansu bol nahi paate aur beh jaate hain...
Kyun mehnat nahi kismat ko koosa jata hain...
Kyun iss bheed mein bhi har koi tanha reh jaata hain...
Kyun paisa har cheez ka maptol hain...
Kya insaan ka swabhaav kabhi kaam nahi aata hain...
Kyun haq jatane ko .....no space ...ka naam diya jata hain...
Kyun badlaw aata hain...
Kyun har shaqs har samay ek samaan nahi reh paata hain...
Kyun samay har cheez badal pata hain...
Kyun humara bas us per nahi chal pata hain...
Kyun har aaj kharab aur kal (past) accha lagta hain...
Kyun har shaqs ko hum apni bhawnao se khelne ka haq de dete hain...
Iss dil ko itna aitbaar kaise ho jata hain?
Kyun aisa hota hain ki yeh sab jante hue bhi ....humein pyaar ho jata hain..
Kyun dosti ke mayane waqt ke saath kum ho jaate hain...
Kya doston ke dil badal jaate hain?
Kyun sirf akshar pade jaate hain aur aankhen nahi...
Kyun sirf nateeja dekha jaata hain jatan nahi...
Kyun sirf ladai dekhi jaati hain pyaar nahi..
Kyun in sawalon ke mere paas jawab nahi...

No comments:

Post a Comment