Sunday, May 26, 2013

Lamho ke parinde

Lamho ke parinde hai is kadar udd jaate...
Ki hum unse apne pass kuch na rah paate..
Har ek pal saath mein guzra ud jata hai pankh laga ke...
Taras jaate hai jeevan bhar per us lamhe ko vapas jee nahi paate..
Us shaqs ki chhavi reh jaati hai nighao mein per apne zehen me nahi utaaar paate...
Un lamhon meh guzar jaati hain zindagi per sadiyon mein woh pal nahi aate....
Kaash samay aur insaan ki keemat humei pata hoti to shayad unhe rok paate...
Kitna khoya kitna paaya uska hisaab lagaana to mushkil tha..kaash uss lamhe ko khul ke jee paate...
Zindagi ne diya tha mauka...jo woh hamesha deti hai ..kaash uss mauke ko pechan paate...
In parindo ki bhi hoti apni ek duniya...jaha jaker sab hai jama ho jate hai..
Kitna aasan hain in parindo ke liye yaade waha chodna...kyunki hum to chah ke bhi unhe nahi chod paate hai...

No comments:

Post a Comment